Abhi to mai jawan

Abhi to Mai Jawan

Abhi To Mein Jawan
Artist: Malika Pukhraj
Lyrics Contributed By: Abrar


hawaa bhii kHushagawaar hai, guloN peH bhii nikhaar hai
tarannumeiN hazaar hai, bahaar purbahaar hai

kahaaN chalaa hai saaqiyaa, idhar to lauT idhar to aa
arey, yeh dekhtaa hai kyaa? uThaa subuu, subuu uThaa

subuu uThaa, piyaalaa bhar, piyaalaa bhar ke de idhar
chaman ki simt kar nazar, samaaN to dekh bekHabar

woH kaali kaali badliyaaN , ufaq peH ho gayi ayaaN
woH ik hajum-e-maikashaaN, hai su-e-maikadaaH ravaaN

yeH kyaa gumaaN hai badgumaaN, samajh naH mujh ko naatavaaN
kHayaal-e-zuhad abhi kahaaN? abhi to maiN jawaan hooN

ibaadatoN kaa zikr hai, nijaat ki bhi fikr hai
junoon hai sawaab ka, kHayaal hai azaab kaa

magar suno to shekH ji, ajeeb shai haiN aap bhi
bhalaa shabaab-o-aashiqui!, alag huay bhi haiN kabhi?

hasiin jalwaaH raiz hoN, adaaeiN fitanaaH kHaiz hoN
havaaeiN itr baiz hoN, to shauq kyuN naH taiz hoN?

nigaah haai fitanaaH gar, koi idhar koi udhar
ubhaarate hooN aish par, to kyaa karey koi bashar?

chalo ji qissaaH mukHtasar, tumhaaraa nuqtaa-e-nazar
durust hai to ho magar, abhi to maiN jawaaN hooN

yeH gasht kohsaar ki, yeH sair ju-e-waar ki
yeH bulbuloN keH chahchahey, yeH gulrukHoN keH qah-qahey

kissi sey mail ho gayaa, to raNj-o-fikr kho gayaa
kabhi jo waqt so gayaa, yeH haNs gayaa woH ro gayaa

yeH ishq kii kahaaniyaaN, yeH ras bhari jawaaniyaaN
udhar sey meharbaaniyaaN, idhar sey lantaraaniyaaN

yeH aasmaan yeH zamiiN, nazzaraahaa-e-dilanashii.n
unHey hayaat aafareeN, bhalaa maiN chhoRh dooN yahiN

hai maut is qadar qariN, mujhey naH aayegaa yaqiN
nahiN nahiN, abhi nahiN, nahiN-nahiN abhi nahiN

naH gHam kashood-o-bast ka, balaNd ka naH past ka
naH bood ka naH hast ka, naH vaadaa-e-alast ka

ummid aur yaas gum, havaas gum qayaas gum
nazar sey aas-paas gum, hamaa, bajuz gilaas gum

naH mai meiN kuchh kami rahey, qadaaH sey hamdami rahey
nashist yeH jami rahey, yahi hama hami rahey

woH raag chheRh mutribaa, tarab-fizaa, alam-rubaa
asar sadaa-e-saaz ka, jigar meiN aag de lagaa

har ik lab pe ho sadaa, na haath rok saaqiyaa
pilaaye jaa pilaaye jaa, abhi to maiN jawaan hooN

-- Hafeez Jallandhari

Comments

Popular posts from this blog

Justice at last