Faiz Ahmed Faiz

Ab kyoon us din ka zikar karo
Jab dil tukray ho jaaey ga
Aur saaray gham mitt jaaeingay
Jo kuchh paaya kho jaaega
Jo mil na saka, voh paaeingay
Yeh din to wuho pehla din hai
Jo pehla din thhaa chaahat ka
Hum jiss ki tamanna kartay rahay
Aur har dum jiss say dartay rahay
Yeh din to kitnee baar aaya
Saw baar basay aur ujarr gaey
Saw baar lutay aur phir paaya

Ab kyoon us din ki fikar karo
Jab dil tukray ho jaaega
Aur saaray gham mitt jaaengay
Tum khauf-o-khatar say dar guzro
Jo hona hai, so hona hai
Gar hansna hai to hansna hai
Gar rona hai to rona hai
Tum apni karni kar guzro
Jo hoga daikha jaaega

Comments

Popular posts from this blog

Justice at last