a beautiful poem
Gareeb Dur tak chalta hai. . .Khana khane ke liye. . . .
Ameer meelo chalta hai Khana pachane ke liye. . . .
Kisi ke paas khane ke liye ek waqt ki roti nahi hai. . . .
Kisi ke paas roti khane ke liye Waqt hi nahi hai. . . .
Koi lachaar hai isi liye beemar hai. . .
Koi beemar hai isi liye lachaar hai. . .
Koi apno ke liye roti chhod deta hai. . .
Koi roti ke liye apno ko chhod deta hai
Ye duniya bhi kitni nirali hai.
Kabhi waqt mile to sochna. . . .
Kabhi choti si chot lagne pe rote the,
aaj dil tut jaane pe bhi sambhal jate hai!
Pehle hum dosto k sath rehte the,
aaj dosto ki yaadon me rehte hai!
Pehle ladna manana roz ka kam tha,
aaj ek bar ladte he to rishte kho jate hai.
Sach me zindagi ne bahut kuch sikha dia,
jane kab hmko itna bada bana diya
Comments